apne sine ko mere zaKHmon se bharne wali
apne siine ko mire zaḳhmoñ se bharne vaalī
tū kahāñ kho ga.ī ḳhushbū sī bikharne vaalī
maiñ to ho jā.ūñgā rū-posh tah-e-ḳhāk magar
ek ḳhvāhish hai mire dil meñ na marne vaalī
āñhkeñ vīrān haiñ hoñToñ pe sulagte haiñ sarāb
tah-nashīñ ho ga.ī har mauj ubharne vaalī
ik sakūñ pā gayā jā kar tah-e-dariyā patthar
ab balā koī nahīñ sar se guzarne vaalī
niiñd aatī hai to ik ḳhauf sā lagtā hai mujhe
jaise ik laash pe ho chiil utarne vaalī
Dhal ga.e sañg meñ is tarah 'mujībī' jazbāt
ab shikan bhī nahīñ māthe pe ubharne vaalī
apne sine ko mere zaKHmon se bharne wali
tu kahan kho gai KHushbu si bikharne wali
main to ho jaunga ru-posh tah-e-KHak magar
ek KHwahish hai mere dil mein na marne wali
aanhken viran hain honTon pe sulagte hain sarab
tah-nashin ho gai har mauj ubharne wali
ek sakun pa gaya ja kar tah-e-dariya patthar
ab bala koi nahin sar se guzarne wali
nind aati hai to ek KHauf sa lagta hai mujhe
jaise ek lash pe ho chil utarne wali
Dhal gae sang mein is tarah 'mujibi' jazbaat
ab shikan bhi nahin mathe pe ubharne wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.