apne siine pe dharā bojh utāreñ kaise
zindagī kaise kareñ umr guzāreñ kaise
dil bhī kyā shai hai ki mar-mar ke bhī jī uThtā hai
kuchh samajh aatā nahīñ hai ise māreñ kaise
ek hī rang thā chehre pe tire vasl kā rang
ab ye mushkil hai ki ye rang utāreñ kaise
dekhte rahte haiñ chup-chāp ḳhalā kī jānib
sochte rahte haiñ ham tujh ko pukāreñ kaise
tum ise khel samajhte ho to samjhāo hameñ
ham jise jiit chuke haiñ use hāreñ kaise
apne sine pe dhara bojh utaren kaise
zindagi kaise karen umr guzaren kaise
dil bhi kya shai hai ki mar-mar ke bhi ji uThta hai
kuchh samajh aata nahin hai ise maren kaise
ek hi rang tha chehre pe tere wasl ka rang
ab ye mushkil hai ki ye rang utaren kaise
dekhte rahte hain chup-chap KHala ki jaanib
sochte rahte hain hum tujh ko pukaren kaise
tum ise khel samajhte ho to samjhao hamein
hum jise jit chuke hain use haaren kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.