apne siwa nahin hai kisi ma-siwa ka rang
apne sivā nahīñ hai kisī mā-sivā kā rang
dekhā hai ham ne aag jalā kar havā kā rang
har gosha-e-bisāt-e-chaman hai lahū lahū
dhūmeñ machā rahā hai kisī kī anā kā rang
aa.ī jab apne shahr kī tasvīr sāmne
āñkhoñ ke aage phail gayā karbalā kā rang
jamtī nahīñ nigāh kisī tez chashm kī
pahnā hai qātiloñ ne bhī kaisā balā kā rang
yak-rangī-e-hayāt se ghabrā na jaa.eñ kyoñ
jo aaj ġhair kā hai vahī āshnā kā rang
parvāz kī hai fikr ki ġham bāl-o-par kā hai
'āsim' uḌā uḌā sā hai ḳhalq-e-ḳhudā kā rang
apne siwa nahin hai kisi ma-siwa ka rang
dekha hai hum ne aag jala kar hawa ka rang
har gosha-e-bisat-e-chaman hai lahu lahu
dhumen macha raha hai kisi ki ana ka rang
aai jab apne shahr ki taswir samne
aankhon ke aage phail gaya karbala ka rang
jamti nahin nigah kisi tez chashm ki
pahna hai qatilon ne bhi kaisa bala ka rang
yak-rangi-e-hayat se ghabra na jaen kyon
jo aaj ghair ka hai wahi aashna ka rang
parwaz ki hai fikr ki gham baal-o-par ka hai
'asim' uDa uDa sa hai KHalq-e-KHuda ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.