apne taKHayyulat ka naqsha nikal ke
apne taḳhayyulāt kā naqsha nikāl ke
ġhazleñ kahīñ haiñ ḳhuun pasīna nikāl ke
ghar ko kiyā thā saaf kisī kā miTā ke ghar
afsos kar rahā huuñ maiñ jaalā nikāl ke
tum ko qalandarī kī hai dil meñ jo aarzū
rakhnī paḌegī dil se ye duniyā nikāl ke
ab us kī asliyat hai zamāna ke sāmne
chehre se us ne rakh diyā chehra nikāl ke
maujoñ se laḌnā us kī thī 'ādat isī liye
vo aa gayā kināre pe rasta nikāl ke
dil bujhte bujhte merā achānak chamak uThā
ye kaun khīñch laayā ujālā nikāl ke
āñkheñ tarerte hue vo dekhte haiñ ab
rakkhā thā jin ko apnā kaleja nikāl ke
pūchho na be-zamīroñ se kaise bache 'adīb'
le aa.e apne aap ko zinda nikāl ke
apne taKHayyulat ka naqsha nikal ke
ghazlen kahin hain KHun pasina nikal ke
ghar ko kiya tha saf kisi ka miTa ke ghar
afsos kar raha hun main jala nikal ke
tum ko qalandari ki hai dil mein jo aarzu
rakhni paDegi dil se ye duniya nikal ke
ab us ki asliyat hai zamana ke samne
chehre se us ne rakh diya chehra nikal ke
maujon se laDna us ki thi 'adat isi liye
wo aa gaya kinare pe rasta nikal ke
dil bujhte bujhte mera achanak chamak uTha
ye kaun khinch laya ujala nikal ke
aankhen tarerte hue wo dekhte hain ab
rakkha tha jin ko apna kaleja nikal ke
puchho na be-zamiron se kaise bache 'adib'
le aae apne aap ko zinda nikal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.