apne talwe lahu-lahu karte
apne talve lahū-lahū karte
ham bhī kāñToñ ko surḳh-rū karte
lutf aatā namāz paḌhne meñ
āñsuoñ se agar vuzū karte
ham bhī lete balā.eñ ḳhanjar kī
kaash ham ko bhī surḳh-rū karte
vo agar saath hote ai 'kausar'
ham bhī duniyā kī justujū karte
apne talwe lahu-lahu karte
hum bhi kanTon ko surKH-ru karte
lutf aata namaz paDhne mein
aansuon se agar wuzu karte
hum bhi lete balaen KHanjar ki
kash hum ko bhi surKH-ru karte
wo agar sath hote ai 'kausar'
hum bhi duniya ki justuju karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.