Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne to raat din yahan aise basar hue

Zarrin Munavvar

apne to raat din yahan aise basar hue

Zarrin Munavvar

MORE BYZarrin Munavvar

    apne to raat din yahāñ aise basar hue

    jaise kisī ġharīb ke shām-o-sahar hue

    amrit-nagar ḳhaak ko āñkhoñ se chuum kar

    mujh shā.era ke harf bhī kuchh mo'atabar hue

    saath thā to āsmāñ the iḳhtiyār meñ

    chukā to be sadā be bāl-o-par hue

    kahne ko ek shaḳhs thā jo ab nahīñ rahā

    kaise tumhāre shahr meñ ham dīda-var hue

    vīrāñ gharoñ meñ dost kahīñ raushnī na thī

    ḳhud ko jalāyā tab kahīñ raushan ye ghar hue

    aksar tumhārī yaad ne kiiñ mahfileñ tabāh

    aksar tumhārī yaad meñ diida tar hue

    apne to raat din yahan aise basar hue

    jaise kisi gharib ke sham-o-sahar hue

    amrit-nagar ki KHak ko aankhon se chum kar

    mujh shaera ke harf bhi kuchh mo'atabar hue

    tu sath tha to aasman the iKHtiyar mein

    tu ja chuka to be sada be baal-o-par hue

    kahne ko ek shaKHs tha jo ab nahin raha

    kaise tumhaare shahr mein hum dida-war hue

    viran gharon mein dost kahin raushni na thi

    KHud ko jalaya tab kahin raushan ye ghar hue

    aksar tumhaari yaad ne kin mahfilen tabah

    aksar tumhaari yaad mein hi dida tar hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now