apne zaKHmon ko dho raha hai koi
apne zaḳhmoñ ko dho rahā hai koī
ḳhuun hī ḳhuun ho rahā hai koī
qissa-e-ġham sañjo rahā hai koī
motiyoñ ko piro rahā hai koī
merī āñkhoñ meñ phir se aañsū haiñ
aaj phir dil meñ ro rahā hai koī
baat haañ nā kī thī kisī ke liye
umr kā bojh Dho rahā hai koī
gulshan-e-ishq kā pata de kar
ḳhushbuoñ meñ Dubo rahā hai koī
ḳhvāb chhūne lage haiñ āñkhoñ ko
hasratoñ ko bhigo rahā hai koī
chāñd ke saath ik sitārā 'zafar'
jaise bāñhoñ meñ so rahā hai koī
apne zaKHmon ko dho raha hai koi
KHun hi KHun ho raha hai koi
qissa-e-gham sanjo raha hai koi
motiyon ko piro raha hai koi
meri aankhon mein phir se aansu hain
aaj phir dil mein ro raha hai koi
baat han na ki thi kisi ke liye
umr ka bojh Dho raha hai koi
gulshan-e-ishq ka pata de kar
KHushbuon mein Dubo raha hai koi
KHwab chhune lage hain aankhon ko
hasraton ko bhigo raha hai koi
chand ke sath ek sitara 'zafar'
jaise banhon mein so raha hai koi
- Book : خموش لب (Pg. 34)
- Author : ظفر محمود
- Publication : عرشیہ پبلی کیشنز دہلی۔95 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.