apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
apnī aag ko zinda rakhnā kitnā mushkil hai
patthar biich ā.īna rakhnā kitnā mushkil hai
kitnā āsāñ hai tasvīr banānā auroñ kī
ḳhud ko pas-e-ā.īna rakhnā kitnā mushkil hai
āñgan se dahlīz talak jab rishta sadiyoñ kā
jogī tujh ko Thahrā rakhnā kitnā mushkil hai
dopahroñ ke zard kivāḌoñ kī zanjīr se pūchh
yādoñ ko āvāra rakhnā kitnā mushkil hai
chullū meñ ho dard kā dariyā dhyān meñ us ke hoñT
yuuñ bhī ḳhud ko pyāsā rakhnā kitnā mushkil hai
tum ne ma.abad dekhe hoñge ye āñgan hai yahāñ
ek charāġh bhī jaltā rakhnā kitnā mushkil hai
daasī jaane TūTe-phūTe gītoñ kā ye daan
samay ke charnoñ meñ lā rakhnā kitnā mushkil hai
apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
patthar bich aaina rakhna kitna mushkil hai
kitna aasan hai taswir banana auron ki
KHud ko pas-e-aina rakhna kitna mushkil hai
aangan se dahliz talak jab rishta sadiyon ka
jogi tujh ko Thahra rakhna kitna mushkil hai
dopahron ke zard kiwaDon ki zanjir se puchh
yaadon ko aawara rakhna kitna mushkil hai
chullu mein ho dard ka dariya dhyan mein us ke honT
yun bhi KHud ko pyasa rakhna kitna mushkil hai
tum ne mabad dekhe honge ye aangan hai yahan
ek charagh bhi jalta rakhna kitna mushkil hai
dasi jaane TuTe-phuTe giton ka ye dan
samay ke charnon mein la rakhna kitna mushkil hai
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.