apni aankhen hain aur tumhaare KHwab
apnī āñkheñ haiñ aur tumhāre ḳhvāb
kitne pur-kaif haiñ hamāre ḳhvāb
un ke haq meñ baḌā sahārā haiñ
dekhte haiñ jo be-sahāre ḳhvāb
hāsil-e-zindagī jinheñ kahiye
kuchh hamāre haiñ kuchh tumhāre ḳhvāb
yūñhī bante bigaḌte rahte haiñ
gardish-e-vaqt ke sahāre ḳhvāb
haañ na TuuTe tilism-e-ḳhush-fahmī
yūñhī dekho 'ra.īs' pyāre ḳhvāb
apni aankhen hain aur tumhaare KHwab
kitne pur-kaif hain hamare KHwab
un ke haq mein baDa sahaara hain
dekhte hain jo be-sahaare KHwab
hasil-e-zindagi jinhen kahiye
kuchh hamare hain kuchh tumhaare KHwab
yunhi bante bigaDte rahte hain
gardish-e-waqt ke sahaare KHwab
han na TuTe tilism-e-KHush-fahmi
yunhi dekho 'rais' pyare KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.