apni aankhon ke sadaf ko husn ka gauhar na de
apnī āñkhoñ ke sadaf ko husn kā gauhar na de
shaam kī vīrāniyāñ de sub.h kā manzar na de
saath hai be-chehragī ke kārvāñ kā silsila
dostī ke aa.ine ko yaad kā jauhar na de
sard rūmānī pahar kā jazba-e-taḳhlīq huuñ
mujh ko ayyām-e-guzishta kī koī chādar na de
fikr-o-fan kā ik nayā andāz huuñ is daur meñ
gard-e-rāh-e-āgahī huuñ āsmāñ de ghar na de
rafta-rafta maslahat kī nahr meñ utrūñgā jab
ai ġham-e-daurāñ tū mujh ko vahm kā nashtar na de
shā.erī apnī hai 'jāmī' ahd-e-nau kī dāstāñ
'mīr' ke aañsū sahī ḳhayyām ke tevar na de
apni aankhon ke sadaf ko husn ka gauhar na de
sham ki viraniyan de subh ka manzar na de
sath hai be-chehragi ke karwan ka silsila
dosti ke aaine ko yaad ka jauhar na de
sard rumani pahar ka jazba-e-taKHliq hun
mujh ko ayyam-e-guzishta ki koi chadar na de
fikr-o-fan ka ek naya andaz hun is daur mein
gard-e-rah-e-agahi hun aasman de ghar na de
rafta-rafta maslahat ki nahr mein utrunga jab
ai gham-e-dauran tu mujh ko wahm ka nashtar na de
shaeri apni hai 'jami' ahd-e-nau ki dastan
'mir' ke aansu sahi KHayyam ke tewar na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.