apni aankhon ko nam karen kaise
apnī āñkhoñ ko nam kareñ kaise
lazzat-e-dard kam kareñ kaise
jo tasallī bhī de nahīñ sakte
un se iz.hār-e-ġham kareñ kaise
un kī fitrat meñ bevafā.ī hai
phir vo ham pe karam kareñ kaise
husn-e-maġhrūr kī adāoñ par
dil ko qurbān ham kareñ kaise
jin pe hai vaqt ne sitam Dhaa.e
vo kisī pe sitam kareñ kaise
jin ke ma.anī hī kuchh nahīñ hote
aise alfāz zam kareñ kaise
maut aatī hai ek din 'fānī'
aaj hī us kā ġham kareñ kaise
apni aankhon ko nam karen kaise
lazzat-e-dard kam karen kaise
jo tasalli bhi de nahin sakte
un se izhaar-e-gham karen kaise
un ki fitrat mein bewafai hai
phir wo hum pe karam karen kaise
husn-e-maghrur ki adaon par
dil ko qurban hum karen kaise
jin pe hai waqt ne sitam Dhae
wo kisi pe sitam karen kaise
jin ke mani hi kuchh nahin hote
aise alfaz zam karen kaise
maut aati hai ek din 'fani'
aaj hi us ka gham karen kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.