apni aankhon mein basa lo ya gira do mujhko
apnī āñkhoñ meñ basā lo yā girā do mujh ko
qatra-e-ashk huuñ jo chāhe sazā do mujh ko
sūrat-e-sham-e-sar-e-bazm jalā do mujh ko
sub.h ho jaa.e to āñval se bujhā do mujh ko
maiñ to bīmār-e-mohabbat huuñ mere chāragaro
ab to bas zulf-e-mo.ambar kī havā do mujh ko
ik sivā tere mujhe yaad na aa.e kuchh bhī
is qadar ishq meñ dīvāna banā do mujh ko
mere dil meñ na koī hasrat-e-dīdār rahe
kaash ik baar ruḳh-e-zebā dikhā do mujh ko
is qadar apne nazar se ho ḳhafā Thiik nahīñ
kyā ḳhatā merī hai bas itnā batā do mujh ko
apni aankhon mein basa lo ya gira do mujh ko
qatra-e-ashk hun jo chahe saza do mujh ko
surat-e-sham-e-sar-e-bazm jala do mujh ko
subh ho jae to aanwal se bujha do mujh ko
main to bimar-e-mohabbat hun mere chaaragaro
ab to bas zulf-e-moambar ki hawa do mujh ko
ek siwa tere mujhe yaad na aae kuchh bhi
is qadar ishq mein diwana bana do mujh ko
mere dil mein na koi hasrat-e-didar rahe
kash ek bar ruKH-e-zeba dikha do mujh ko
is qadar apne nazar se ho KHafa Thik nahin
kya KHata meri hai bas itna bata do mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.