apni aankhon se jo wo ojhal hai
apnī āñkhoñ se jo vo ojhal hai
dil taḌaptā hai jaan bekal hai
phuljaḌī hai izār-band nahīñ
naaf se paañv tak jhalā-jhal hai
na chhalāve meñ hai na bijlī meñ
terī raftār meñ jo chhalbal hai
nāzukī meñ safā meñ bū meñ vo jism
phuul hai aa.ina hai sandal hai
Dor tār-e-shuā.a hai ai 'mehr'
āftāb us parī kā takkal hai
apni aankhon se jo wo ojhal hai
dil taDapta hai jaan bekal hai
phuljaDi hai izar-band nahin
naf se panw tak jhala-jhal hai
na chhalawe mein hai na bijli mein
teri raftar mein jo chhalbal hai
nazuki mein safa mein bu mein wo jism
phul hai aaina hai sandal hai
Dor tar-e-shuaa hai ai 'mehr'
aaftab us pari ka takkal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.