apni aankhon se tabahi ye nazara dekhun
apnī āñkhoñ se tabāhī ye nazāra dekhūñ
yā'nī tujh ko maiñ kisī aur kā hotā dekhūñ
merī dīvāngī is moḌ pe le aa.ī hai
har kisī chehre meñ bas ek hī chehra dekhūñ
ye jo tasvīr musavvir ne banā.ī varna
chāñd ko Thahre hue paanī meñ chaltā dekhūñ
tishnagī laakh sahī par ye nahīñ ho saktā
ḳhud ko lāchār banā.ūñ sū-e-dariyā dekhūñ
ye tirī zid ki taḌaptā huā dekhe mujh ko
merī ḳhvāhish ki hamesha tujhe hañstā dekhūñ
sāmne tujh ko biThā.ūñ tirā māthā chūmūñ
terī āñkheñ tirī zulfeñ tirā chehra dekhūñ
do qadam chal ke ye dil ne kahā 'ādil-rāhī'
āḳhirī baar palaT kar use jaatā dekhūñ
apni aankhon se tabahi ye nazara dekhun
ya'ni tujh ko main kisi aur ka hota dekhun
meri diwangi is moD pe le aai hai
har kisi chehre mein bas ek hi chehra dekhun
ye jo taswir musawwir ne banai warna
chand ko Thahre hue pani mein chalta dekhun
tishnagi lakh sahi par ye nahin ho sakta
KHud ko lachaar banaun su-e-dariya dekhun
ye teri zid ki taDapta hua dekhe mujh ko
meri KHwahish ki hamesha tujhe hansta dekhun
samne tujh ko biThaun tera matha chumun
teri aankhen teri zulfen tera chehra dekhun
do qadam chal ke ye dil ne kaha 'adil-rahi'
aaKHiri bar palaT kar use jata dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.