apni aankhon se to dariya bhi sarab-asa mile
apnī āñkhoñ se to dariyā bhī sarāb-āsā mile
jo bhī naqd-e-jāñ luTāne aa.e ham se aa mile
ab vafā kī raah par har samt sannāTā mile
ahl-e-dil ke kārvāñ kin manziloñ se jā mile
lap pe gar naġhma nahīñ palkoñ pe hī taarā mile
gul nahīñ khilte to koī zaḳhm hī khiltā mile
rañg-o-bū ke pairahan meñ phuul haiñ yā zaḳhm haiñ
ab na vo kaliyāñ na vo patte na vo saayā mile
imtihāñ thā maslahat thī yā mirī taqdīr thī
maiñ gulistānoñ kā tālib thā mujhe sahrā mile
umr-bhar har ek se maiñ ne chhupā.e dil ke daaġh
aaj ye hasrat ki koī dekhne vaalā mile
maiñ ne jin āñkhoñ meñ dekhe the samundar maujzan
un meñ jo bhī Dūbne vaalā mile pyāsā mile
naaz us kā pāsbāñ andāz us kā ham-zabāñ
ḳhalvatoñ meñ bhī vo mujh se anjuman-ārā mile
aaj phir chheḌuñgā maiñ mahtāb kī kirnoñ ke taar
kaash imshab to mile yā koī tujh jaisā mile
aañkh sau rañgoñ kī tālib hosh sau rañgoñ kā zaḳhm
dil ko ye zid hai ki terī aarzū tanhā mile
ajnabī rāheñ bhī 'sādiq' ajnabī rāheñ na thiiñ
jab kisī ke jāne-pahchāne nuqūsh-e-pā mile
apni aankhon se to dariya bhi sarab-asa mile
jo bhi naqd-e-jaan luTane aae hum se aa mile
ab wafa ki rah par har samt sannaTa mile
ahl-e-dil ke karwan kin manzilon se ja mile
lap pe gar naghma nahin palkon pe hi tara mile
gul nahin khilte to koi zaKHm hi khilta mile
rang-o-bu ke pairahan mein phul hain ya zaKHm hain
ab na wo kaliyan na wo patte na wo saya mile
imtihan tha maslahat thi ya meri taqdir thi
main gulistanon ka talib tha mujhe sahra mile
umr-bhar har ek se main ne chhupae dil ke dagh
aaj ye hasrat ki koi dekhne wala mile
main ne jin aankhon mein dekhe the samundar maujzan
un mein jo bhi Dubne wala mile pyasa mile
naz us ka pasban andaz us ka ham-zaban
KHalwaton mein bhi wo mujh se anjuman-ara mile
aaj phir chheDunga main mahtab ki kirnon ke tar
kash imshab to mile ya koi tujh jaisa mile
aankh sau rangon ki talib hosh sau rangon ka zaKHm
dil ko ye zid hai ki teri aarzu tanha mile
ajnabi rahen bhi 'sadiq' ajnabi rahen na thin
jab kisi ke jaane-pahchane nuqush-e-pa mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.