apni alag hi samt mein rahen nikal kar
apnī alag hī samt meñ rāheñ nikāl kar
vo le gayā hai jism se sāñseñ nikāl kar
lauTe to ye na soche ki ḳhat jhūT-mūT the
maiñ rakh chalā huuñ baam par āñkheñ nikāl kar
mere kafan ke band na bāñdho abhī mujhe
milnā hai ek shaḳhs se bāñheñ nikāl kar
kyā zarf hai daraḳht kā hairat kī baat hai
miltā hai phir ḳhizāñ se jo shāḳheñ nikāl kar
tū hī batā ki aañkh ke shamshān ghaaT meñ
kaise basā luuñ maiñ tujhe lāsheñ nikāl kar
har shaḳhs apne qad ke barābar dikhā.ī de
socheñ jo darmiyān se zāteñ nikāl kar
chāho to kar lo shauq se tum bhī hisāb-e-vasl
ik pal bachegā hijr kī rāteñ nikāl kar
apni alag hi samt mein rahen nikal kar
wo le gaya hai jism se sansen nikal kar
lauTe to ye na soche ki KHat jhuT-muT the
main rakh chala hun baam par aankhen nikal kar
mere kafan ke band na bandho abhi mujhe
milna hai ek shaKHs se banhen nikal kar
kya zarf hai daraKHt ka hairat ki baat hai
milta hai phir KHizan se jo shaKHen nikal kar
tu hi bata ki aankh ke shamshan ghaT mein
kaise basa lun main tujhe lashen nikal kar
har shaKHs apne qad ke barabar dikhai de
sochen jo darmiyan se zaten nikal kar
chaho to kar lo shauq se tum bhi hisab-e-wasl
ek pal bachega hijr ki raaten nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.