apni ana ki aaj bhi taskin humne ki
apnī anā kī aaj bhī taskīn ham ne kī
jī bhar ke us ke husn kī tauhīn ham ne kī
lahje kī tez dhaar se zaḳhmī kiyā use
paivast dil meñ lafz kī sañgīn ham ne kī
laa.e ba-rū-e-kār na husn o jamāl ko
mauqa.a thā phir bhī raat na rañgīn ham ne kī
jī bhar ke dil kī maut pe rone diyā use
pursā diyā na sabr kī talqīn ham ne kī
dariyā kī sair karne akele chale ga.e
shām-e-shafaq kī aap hī tahsīn ham ne kī
apni ana ki aaj bhi taskin hum ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin hum ne ki
lahje ki tez dhaar se zaKHmi kiya use
paiwast dil mein lafz ki sangin hum ne ki
lae ba-ru-e-kar na husn o jamal ko
mauqa tha phir bhi raat na rangin hum ne ki
ji bhar ke dil ki maut pe rone diya use
pursa diya na sabr ki talqin hum ne ki
dariya ki sair karne akele chale gae
sham-e-shafaq ki aap hi tahsin hum ne ki
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.