apni auqat zamana ko batate aae
apnī auqāt zamāna ko batāte aa.e
tum jidhar aa.e udhar aag lagāte aa.e
ham ko mahfil meñ ta.alluq kā bharam rakhnā thā
dushmanoñ ko bhī gale apne lagāte aa.e
bas yahī un kā karam ham pe bahut bhārī hai
jab vo aa.e to karam apnā jatāte aa.e
ek aahaT bhī Darā detī hai tanhā.ī meñ
ḳhvāb jab aa.e tire mujh ko Darāte aa.e
ḳhud kā ghar phuus kā hai yaad nahīñ thā shāyad
ghar meñ ham-sāyoñ ke vo aag lagāte aa.e
ā.īna qad ke barābar ho zarūrī to nahīñ
aisī chāhat meñ vo kyoñ jaan khapāte aa.e
apni auqat zamana ko batate aae
tum jidhar aae udhar aag lagate aae
hum ko mahfil mein talluq ka bharam rakhna tha
dushmanon ko bhi gale apne lagate aae
bas yahi un ka karam hum pe bahut bhaari hai
jab wo aae to karam apna jatate aae
ek aahaT bhi Dara deti hai tanhai mein
KHwab jab aae tere mujh ko Daraate aae
KHud ka ghar phus ka hai yaad nahin tha shayad
ghar mein ham-sayon ke wo aag lagate aae
aaina qad ke barabar ho zaruri to nahin
aisi chahat mein wo kyon jaan khapate aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.