apni bahon ko humne patwar kiya tha
apnī bāhoñ ko ham ne patvār kiyā thā
tab jā kar vo ḳhuun kā dariyā paar kiyā thā
patthar pheñk ke logoñ ne jab izzat baḳhshī
ham ne apne hāthoñ ko dastār kiyā thā
kaun se ḳhvāb ne raat apnī āñkheñ kholī thiiñ
kis kī ḳhushbū ne dil ko bedār kiyā thā
us ne dil par qabza kiyā ban baiThā aamir
ham ne jis kī shāhī se inkār kiyā thā
bante ga.e the apnī Thokar se vo raste
jin rastoñ ko tū ne kal dīvār kiyā thā
jin ko kabhī ik aañkh na ham bhaa.e the 'aḳhtar'
ham ne un kī nafrat se bhī pyaar kiyā thā
apni bahon ko hum ne patwar kiya tha
tab ja kar wo KHun ka dariya par kiya tha
patthar phenk ke logon ne jab izzat baKHshi
hum ne apne hathon ko dastar kiya tha
kaun se KHwab ne raat apni aankhen kholi thin
kis ki KHushbu ne dil ko bedar kiya tha
us ne dil par qabza kiya ban baiTha aamir
hum ne jis ki shahi se inkar kiya tha
bante gae the apni Thokar se wo raste
jin raston ko tu ne kal diwar kiya tha
jin ko kabhi ek aankh na hum bhae the 'aKHtar'
hum ne un ki nafrat se bhi pyar kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.