apni basti mein andhera nahin hone denge
apnī bastī meñ añdherā nahīñ hone deñge
jaisā tum chāhoge vaisā nahīñ hone deñge
sab karāchi ko ujāloñ kā nagar kahte haiñ
is ko āsār-e-qadīma nahīñ hone deñge
haq jo bantā hai muhājir kā vo leñge tum se
apnī ham qaum se dhokā nahīñ hone deñge
ham na hote to vatan bech ke khā jaate tum
ham kisī taur ye saudā nahīñ hone deñge
apni basti mein andhera nahin hone denge
jaisa tum chahoge waisa nahin hone denge
sab karachi ko ujalon ka nagar kahte hain
is ko aasar-e-qadima nahin hone denge
haq jo banta hai muhajir ka wo lenge tum se
apni hum qaum se dhoka nahin hone denge
hum na hote to watan bech ke kha jate tum
hum kisi taur ye sauda nahin hone denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.