apni bechaargi pe ro na sake
apnī bechārgī pe ro na sake
tere kyā hote apne ho na sake
zindagī aur vo bhī māñge kī
ham nadāmat kā daaġh dho na sake
ḳhud-farebī kī intihā ye hai
dil sī bekār shai bhī kho na sake
nā-ḳhudā ke baġhair kuchh na banā
apnī kashtī bhī ḳhud Dubo na sake
apni bechaargi pe ro na sake
tere kya hote apne ho na sake
zindagi aur wo bhi mange ki
hum nadamat ka dagh dho na sake
KHud-farebi ki intiha ye hai
dil si bekar shai bhi kho na sake
na-KHuda ke baghair kuchh na bana
apni kashti bhi KHud Dubo na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.