apni chhalakti aankh ke tare gawah hain
apnī chhalaktī aañkh ke taare gavāh haiñ
ashkoñ meñ Duube shab ke nazāre gavāh haiñ
sūkhā hai mere jism meñ kitnā lahū na pūchh
hālāt ke sulagte sharāre gavāh haiñ
ham ne hī ruuh phūñkī thī dasht-e-ḳhayāl meñ
fitrat ke ye hasīn ishāre gavāh haiñ
sote haiñ merī fikr ke ab tak ravāñ-davāñ
bahr-e-vajūd ke ye kināre gavāh haiñ
merī uḌaan tāroñ ke bilkul qarīb thī
ilm-o-hunar ke saare ġhubbāre gavāh haiñ
'jāmī' ne bhī uruuj ke dekhe haiñ roz-o-shab
azmat ke vo tamām manāre gavāh haiñ
apni chhalakti aankh ke tare gawah hain
ashkon mein Dube shab ke nazare gawah hain
sukha hai mere jism mein kitna lahu na puchh
haalat ke sulagte sharare gawah hain
hum ne hi ruh phunki thi dasht-e-KHayal mein
fitrat ke ye hasin ishaare gawah hain
sote hain meri fikr ke ab tak rawan-dawan
bahr-e-wajud ke ye kinare gawah hain
meri uDan taron ke bilkul qarib thi
ilm-o-hunar ke sare ghubbare gawah hain
'jami' ne bhi uruj ke dekhe hain roz-o-shab
azmat ke wo tamam manare gawah hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.