apni duniya ko luTa kar dekho
apnī duniyā ko luTā kar dekho
yuuñ dil-o-zehn pe chhā kar dekho
lauT aayā hai sub.h kā bhūlā
tum use sham.a jalā kar dekho
dil kī dhaḌkan meñ sadā hai kis kī
apne siine se lagā kar dekho
gahre paanī meñ milegā motī
ik zarā ġhota lagā kar dekho
maiñ koī ġhair nahīñ huuñ to mujhe
kabhī āñkhoñ meñ basā kar dekho
hai khaḌā sāmne kab se 'anvar'
apnī palkeñ to uThā kar dekho
apni duniya ko luTa kar dekho
yun dil-o-zehn pe chha kar dekho
lauT aaya hai subh ka bhula
tum use shama jala kar dekho
dil ki dhaDkan mein sada hai kis ki
apne sine se laga kar dekho
gahre pani mein milega moti
ek zara ghota laga kar dekho
main koi ghair nahin hun to mujhe
kabhi aankhon mein basa kar dekho
hai khaDa samne kab se 'anwar'
apni palken to uTha kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.