apni fitrat ye nahin jo sah gai
apnī fitrat ye nahīñ jo sah ga.ī
baat jo kahnī thī maiñ vo kah ga.ī
jism-o-jāñ se miT ga.ī har aarzū
ik tirī ummīd tah-ba-tah ga.ī
kaash aa saktī havā ke saath maiñ
aa chukī ghar jab yahāñ se vo ga.ī
laakh lafzoñ ne diyā ho saath par
aarzū dil kī thī dil meñ rah ga.ī
chāñd khiḌkī meñ na aayā aaj phir
aañkh meñ ik jhiil thī vo bah ga.ī
apni fitrat ye nahin jo sah gai
baat jo kahni thi main wo kah gai
jism-o-jaan se miT gai har aarzu
ek teri ummid tah-ba-tah gai
kash aa sakti hawa ke sath main
aa chuki ghar jab yahan se wo gai
lakh lafzon ne diya ho sath par
aarzu dil ki thi dil mein rah gai
chand khiDki mein na aaya aaj phir
aankh mein ek jhil thi wo bah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.