apni ghazal ke tair-e-KHun-nab ke liye
apnī ġhazal ke tā.ir-e-ḳhūñ-nāb ke liye
kuchh zaḳhm le ke aayā huuñ ahbāb ke liye
phir yuuñ huā ki daaġh hī hāthoñ meñ rah ga.e
rasta banā rahā thā maiñ mahtāb ke liye
muddat se phir rahā huuñ maiñ bāzār-e-shauq meñ
ik lafz kī talāsh hai ādāb ke liye
ḳhushbū shabāb husn ye dhoka hī ik sahī
kuchh to bahāna chāhiye zahrāb ke liye
itnī to aag dil meñ hī jaltī hai rāt-din
jis darja aag chāhiye zar-nāb ke liye
insāniyat ke naam bhī kuchh kar ke dekhiye
har kaam lāzmī nahīñ surḳhāb ke liye
'ḳhālid' harā-bharā vo rahe bhī to kis liye
har phuul jis shajar kā ho girdāb ke liye
apni ghazal ke tair-e-KHun-nab ke liye
kuchh zaKHm le ke aaya hun ahbab ke liye
phir yun hua ki dagh hi hathon mein rah gae
rasta bana raha tha main mahtab ke liye
muddat se phir raha hun main bazar-e-shauq mein
ek lafz ki talash hai aadab ke liye
KHushbu shabab husn ye dhoka hi ek sahi
kuchh to bahana chahiye zahrab ke liye
itni to aag dil mein hi jalti hai raat-din
jis darja aag chahiye zar-nab ke liye
insaniyat ke nam bhi kuchh kar ke dekhiye
har kaam lazmi nahin surKHab ke liye
'KHalid' hara-bhara wo rahe bhi to kis liye
har phul jis shajar ka ho girdab ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.