apni ghazlon ko risalon se alag rakhta hun
apni ghazlon ko risalon se alag rakhta hun
Ashfaq Rasheed Mansuri
MORE BYAshfaq Rasheed Mansuri
apnī ġhazloñ ko risāloñ se alag rakhtā huuñ
yaanī ye phuul kitāboñ se alag rakhtā huuñ
haañ buzurgoñ se aqīdat to mujhe hai lekin
mushkileñ apnī mazāroñ se alag rakhtā huuñ
manzileñ aa ke mere paañv meñ gir jaatī haiñ
hausla jab maiñ thakānoñ se alag rakhtā huuñ
un kī aamad kā pata detī hai ḳhushbū un kī
us ghaḌī ḳhud ko jahānoñ se alag rakhtā huuñ
hosh vaale mujhe apnoñ meñ ginā karte haiñ
maiñ kahāñ ḳhud ko dīvānoñ se alag rakhtā huuñ
mujh ko achchhā nahīñ lagtā ye umīdeñ TūTeñ
is liye tiir kamānoñ se alag rakhtā huuñ
apni ghazlon ko risalon se alag rakhta hun
yani ye phul kitabon se alag rakhta hun
han buzurgon se aqidat to mujhe hai lekin
mushkilen apni mazaron se alag rakhta hun
manzilen aa ke mere panw mein gir jati hain
hausla jab main thakanon se alag rakhta hun
un ki aamad ka pata deti hai KHushbu un ki
us ghaDi KHud ko jahanon se alag rakhta hun
hosh wale mujhe apnon mein gina karte hain
main kahan KHud ko diwanon se alag rakhta hun
mujh ko achchha nahin lagta ye umiden TuTen
is liye tir kamanon se alag rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.