apni had tak aa pahunche ab hijri daur ko laen
apnī had tak aa pahuñche ab hijrī daur ko laa.eñ
'ahd-e-nau kā ye hai taqāzā ḳhud ko ham dohrā.eñ
kaun sī ye manzil hai muḌ kar dekheñ pathrā jaa.eñ
aage baḌheñ kuchh aur to jangal āseboñ kā paa.eñ
ek hī jaise sab ke chehre ek hī jaisā haal
kis kī zarūrat hai duniyā ko kis ko bachā kar laa.eñ
apnī fitrat kaise badlī kaise guzārī 'umr
jaane vaale kam se kam itnā to batāte jaa.eñ
tiir chaleñ barfīle kam ho sūraj kā jab taap
din jab chhoTe hone lageñ to rāteñ baḌhtī jaa.eñ
apni had tak aa pahunche ab hijri daur ko laen
'ahd-e-nau ka ye hai taqaza KHud ko hum dohraen
kaun si ye manzil hai muD kar dekhen pathra jaen
aage baDhen kuchh aur to jangal aasebon ka paen
ek hi jaise sab ke chehre ek hi jaisa haal
kis ki zarurat hai duniya ko kis ko bacha kar laen
apni fitrat kaise badli kaise guzari 'umr
jaane wale kam se kam itna to batate jaen
tir chalen barfile kam ho suraj ka jab tap
din jab chhoTe hone lagen to raaten baDhti jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.