apni had tak bhi jo muKHtar nahin hai ai dost
apni had tak bhi jo muKHtar nahin hai ai dost
Anjum Fauqi Badayuni
MORE BYAnjum Fauqi Badayuni
apnī had tak bhī jo muḳhtār nahīñ hai ai dost
kaun kahtā hai gunahgār nahīñ hai ai dost
ishq iizā sahī āzār nahīñ hai ai dost
zindagī ret kī dīvār nahīñ hai ai dost
mere shikvoñ pe gumān-e-talab-e-mehr-o-vafā
merī aadat mirā kirdār nahīñ hai ai dost
kaun qātil hai kise ḳhuun pukāre merā
ek hī haath meñ talvār nahīñ hai ai dost
aa hī jaatā hai nigāhoñ meñ surūr-e-hastī
dil to itnā bhī gunahgār nahīñ hai ai dost
mere iflās ko ġhairat ne panāheñ dī haiñ
zindagī mere liye baar nahīñ hai ai dost
hote hote hī ġham-e-dil kā mudāvā hogā
ek din kā to ye āzār nahīñ hai ai dost
apne saa.e kī nazākat se qadam rukte haiñ
dhuup mere liye dīvār nahīñ hai ai dost
apni had tak bhi jo muKHtar nahin hai ai dost
kaun kahta hai gunahgar nahin hai ai dost
ishq iza sahi aazar nahin hai ai dost
zindagi ret ki diwar nahin hai ai dost
mere shikwon pe guman-e-talab-e-mehr-o-wafa
meri aadat mera kirdar nahin hai ai dost
kaun qatil hai kise KHun pukare mera
ek hi hath mein talwar nahin hai ai dost
aa hi jata hai nigahon mein surur-e-hasti
dil to itna bhi gunahgar nahin hai ai dost
mere iflas ko ghairat ne panahen di hain
zindagi mere liye bar nahin hai ai dost
hote hote hi gham-e-dil ka mudawa hoga
ek din ka to ye aazar nahin hai ai dost
apne sae ki nazakat se qadam rukte hain
dhup mere liye diwar nahin hai ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.