apni had tak uDan thi pahle
apnī had tak uḌaan thī pahle
zindagī be-nishān thī pahle
chāñd sūraj hamāre sāthī the
ye zamīn āsmān thī pahle
vo mirī har ġhazal kā matl.a thā
us kī maiñ dāstān thī pahle
tere aane se raushnī phailī
chāñdnī nīm-jān thī pahle
kaliyāñ sab jism-o-jāñ kī chaTkī thiiñ
dhuup jab mehrbān thī pahle
kis ne chhīnī hamāre shahr kī aab
kyā ajab ān-bān thī pahle
ab khulā jā ke bhed 'shabnam' par
kis qadar ḳhush-gumān thī pahle
apni had tak uDan thi pahle
zindagi be-nishan thi pahle
chand suraj hamare sathi the
ye zamin aasman thi pahle
wo meri har ghazal ka matla tha
us ki main dastan thi pahle
tere aane se raushni phaili
chandni nim-jaan thi pahle
kaliyan sab jism-o-jaan ki chaTki thin
dhup jab mehrban thi pahle
kis ne chhini hamare shahr ki aab
kya ajab aan-ban thi pahle
ab khula ja ke bhed 'shabnam' par
kis qadar KHush-guman thi pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.