apni har haar pe ek jashn manate rahiye
apnī har haar pe ik jashn manāte rahiye
zindagī bojh sahī bojh uThāte rahiye
koī aane ke liye koī to ho andar bhī
falsafe chhoḌiye zanjīr hilāte rahiye
raah chalne ke liye paañv zarūrī to nahīñ
sar nahīñ na sahī dastār sajāte rahiye
kyā zarūrī hai ki har kaam salīqe se ho
jazbe ThanDe sahī cigarette jalāte rahiye
koshish-e-rukniyat-e-urdu-academy na sahī
kam se kam she.rī pulande to chhapāte rahiye
āgahī jurm hai be-sūd hai bedārī 'vasīm'
aap bhī soiye auroñ ko sulāte rahiye
apni har haar pe ek jashn manate rahiye
zindagi bojh sahi bojh uThate rahiye
koi aane ke liye koi to ho andar bhi
falsafe chhoDiye zanjir hilate rahiye
rah chalne ke liye panw zaruri to nahin
sar nahin na sahi dastar sajate rahiye
kya zaruri hai ki har kaam saliqe se ho
jazbe ThanDe sahi cigarette jalate rahiye
koshish-e-rukniyat-e-urdu-academy na sahi
kam se kam sheri pulande to chhapate rahiye
aagahi jurm hai be-sud hai bedari 'wasim'
aap bhi soiye auron ko sulate rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.