apni hasti ka mujhko idrak hua
apnī hastī kā mujh ko idrāk huā
dhokā khā kar maiñ bhī kuchh chālāk huā
koī mujh ko marne se kab rok sakā
vaqt mirā aaya aur qissa paak huā
qaid rahā maiñ kuchh aisā apne ghar meñ
bhiiḌ meñ bhī tanhā.ī kā idrāk huā
maiñ to purānī qadroñ kā thā parvarda
lekin rafta-rafta yuuñ bebāk huā
koī kab pursān-e-hāl kisī kā huā
qissa-e-dard ko sun kar maiñ namnāk huā
kaun kisī kā kab suntā hai ai 'rizvāñ'
qissa-e-dard sunā kar maiñ nam-nāk huā
apni hasti ka mujh ko idrak hua
dhoka kha kar main bhi kuchh chaalak hua
koi mujh ko marne se kab rok saka
waqt mera aaya aur qissa pak hua
qaid raha main kuchh aisa apne ghar mein
bhiD mein bhi tanhai ka idrak hua
main to purani qadron ka tha parwarda
lekin rafta-rafta yun bebak hua
koi kab pursan-e-haal kisi ka hua
qissa-e-dard ko sun kar main namnak hua
kaun kisi ka kab sunta hai ai 'rizwan'
qissa-e-dard suna kar main nam-nak hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.