apni hasti ke kamalat se bahar nikle
apnī hastī ke kamālāt se bāhar nikle
vo agar mere ḳhayālāt se bāhar nikle
dafn kar rakkhe the siine ke kisī kone meñ
raaz jo tere savālāt se bāhar nikle
ishq khā.egā nahīñ yaar ye va.ada hai mirā
us se kah do ki vo ḳhadshāt se bāhar nikle
us ke va.adoñ pe bhī kar leñge bharosa vo agar
shahr-e-kūfa ke mazāfāt se bāhar nikle
us kī āñkhoñ ne pukārā to gine tak na ga.e
riñd kitne hī ḳharābāt se bāhar nikle
aur bhī ḳhālī haiñ duniyā meñ Thikāne lākhoñ
us se kah do ki mirī zaat se bāhar nikle
apni hasti ke kamalat se bahar nikle
wo agar mere KHayalat se bahar nikle
dafn kar rakkhe the sine ke kisi kone mein
raaz jo tere sawalat se bahar nikle
ishq khaega nahin yar ye wada hai mera
us se kah do ki wo KHadshat se bahar nikle
us ke wadon pe bhi kar lenge bharosa wo agar
shahr-e-kufa ke mazafat se bahar nikle
us ki aankhon ne pukara to gine tak na gae
rind kitne hi KHarabaat se bahar nikle
aur bhi KHali hain duniya mein Thikane lakhon
us se kah do ki meri zat se bahar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.