apni hasti KHud ham-aghosh-e-fana ho jaegi
Interesting Fact
1917
apnī hastī ḳhud ham-āġhosh-e-fanā ho jā.egī
mauj-e-dariyā āb-e-sāhil āshnā ho jā.egī
tah kā andesha rahegā phir na sāhil kī havas
dil se jab qat-e-umīd-e-bevafā ho jā.egī
shab kī shab bazm-e-tarab hai parda-dār-e-inqilāb
sub.h tak ā.īna-e-ibrat-numā ho jā.egī
jān-e-īmāñ hai abhī vo aañkh sharmā.ī huī
kaifiyat meñ Duub kar kyā jaane kyā ho jā.egī
apni hasti KHud ham-aghosh-e-fana ho jaegi
mauj-e-dariya aab-e-sahil aashna ho jaegi
tah ka andesha rahega phir na sahil ki hawas
dil se jab qat-e-umid-e-bewafa ho jaegi
shab ki shab bazm-e-tarab hai parda-dar-e-inqilab
subh tak aaina-e-ibrat-numa ho jaegi
jaan-e-iman hai abhi wo aankh sharmai hui
kaifiyat mein Dub kar kya jaane kya ho jaegi
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 283)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.