apni hasti miTa ke kya hoga
apnī hastī miTā ke kyā hogā
us ko apnā banā ke kyā hogā
jin ke chehre pe haiñ ka.ī chehre
un ko shīsha dikhā ke kyā hogā
apne haq ke liye laḌo khul kar
yuuñ hī aañsū bahā ke kyā hogā
jab haiñ pardes meñ sajan to phir
haath mehñdī rachā ke kyā hogā
be-vafāoñ ko hāl-e-dil apnā
chhoḌiye bhī sunā ke kyā hogā
un ko ḳhud par bhī jab yaqīn nahīñ
merā sar bhī kaTā ke kyā hogā
jo kabhī ham ko pūchhtā hī nahīñ
us kī mahfil meñ jā ke kyā hogā
khiḌkiyāñ zehn kī nahīñ kholīñ
sirf sham.eñ jalā ke kyā hogā
apne a.amāl par nazar rakhiye
aib un ke ginā ke kyā hogā
tū jo duniyā meñ ban rahā hai ḳhudā
sāmne phir ḳhudā ke kyā hogā
ye ḳhabar aa.ī tum na aaoge
phir to ye ghar sajā ke kyā hogā
zikr se jin ke dhaḌkaneñ baḌh jaa.eñ
un se nazreñ milā ke kyā hogā
jab tire pyaar pe yaqīñ hai hameñ
phir hameñ aazmā ke kyā hogā
zindagī meñ agar sukūn na ho
phir ye daulat kamā ke kyā hogā
jo haiñ baune raheñge baune hī
un ko sar par biThā ke kyā hogā
apni hasti miTa ke kya hoga
us ko apna bana ke kya hoga
jin ke chehre pe hain kai chehre
un ko shisha dikha ke kya hoga
apne haq ke liye laDo khul kar
yun hi aansu baha ke kya hoga
jab hain pardes mein sajan to phir
hath mehndi racha ke kya hoga
be-wafaon ko haal-e-dil apna
chhoDiye bhi suna ke kya hoga
un ko KHud par bhi jab yaqin nahin
mera sar bhi kaTa ke kya hoga
jo kabhi hum ko puchhta hi nahin
us ki mahfil mein ja ke kya hoga
khiDkiyan zehn ki nahin kholin
sirf shamen jala ke kya hoga
apne aamal par nazar rakhiye
aib un ke gina ke kya hoga
tu jo duniya mein ban raha hai KHuda
samne phir KHuda ke kya hoga
ye KHabar aai tum na aaoge
phir to ye ghar saja ke kya hoga
zikr se jin ke dhaDkanen baDh jaen
un se nazren mila ke kya hoga
jab tere pyar pe yaqin hai hamein
phir hamein aazma ke kya hoga
zindagi mein agar sukun na ho
phir ye daulat kama ke kya hoga
jo hain baune rahenge baune hi
un ko sar par biTha ke kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.