apni hasti se tha KHud main bad-guman kal raat ko
apnī hastī se thā ḳhud maiñ bad-gumāñ kal raat ko
kuchh na thā andesha-e-sūd-o-ziyāñ kal raat ko
chāñdnī barsāt sehn-e-gulsitāñ dilkash havā
thiiñ hujūm-e-ġham meñ ye rangīniyāñ kal raat ko
vus.at-e-taḳh.īl ke halqe meñ thā 'arsh-e-barīñ
dekhtī thiiñ chashm-e-dil kaun-o-makāñ kal raat ko
mil rahe the dast-e-ulfat se mujhe jām-e-sharāb
mehrbāñ thā vo but-e-nā-mehrabāñ kal raat ko
vo mohabbat kī nigāheñ vo mohabbat ke kalām
haañ do-bālā thī adā-e-dil-satāñ kal raat ko
har nazar paiġhām har andāz meñ raqsāñ umiid
aur hī thā us kā tarz-e-imtihāñ kal raat ko
iffat-e-ulfat se thī ā.īna-e-dil kī jilā
varna thā jazbāt kā dariyā ravāñ kal raat ko
zauq se vo sun rahe the dāstān-e-ġham mirī
ho rahā thā inqilāb-e-āsmāñ kal raat ko
dil kī ik āvāz thī is bazm meñ tafsīr-e-ġham
ho chuke the vo bhī majbūr-e-fuġhāñ kal raat ko
tafarqe be-ai.tmādi dushmanī makr-o-fareb
thī tirī tā'bīr ai hindostāñ kal raat ko
so chuke the chand hī ghanToñ meñ arbāb-e-nashāt
sub.h tak thā saath vo ārām-e-jāñ kal raat ko
rañg-e-sahbā chashm-e-nargis meñ thā 'āsī' vaqt-e-sub.h
jāgne se ho rahī thiiñ ḳhūñ-fishāñ kal raat ko
apni hasti se tha KHud main bad-guman kal raat ko
kuchh na tha andesha-e-sud-o-ziyan kal raat ko
chandni barsat sehn-e-gulsitan dilkash hawa
thin hujum-e-gham mein ye ranginiyan kal raat ko
wusat-e-taKHil ke halqe mein tha 'arsh-e-barin
dekhti thin chashm-e-dil kaun-o-makan kal raat ko
mil rahe the dast-e-ulfat se mujhe jam-e-sharab
mehrban tha wo but-e-na-mehraban kal raat ko
wo mohabbat ki nigahen wo mohabbat ke kalam
han do-baala thi ada-e-dil-satan kal raat ko
har nazar paigham har andaz mein raqsan umid
aur hi tha us ka tarz-e-imtihan kal raat ko
iffat-e-ulfat se thi aaina-e-dil ki jila
warna tha jazbaat ka dariya rawan kal raat ko
zauq se wo sun rahe the dastan-e-gham meri
ho raha tha inqilab-e-asman kal raat ko
dil ki ek aawaz thi is bazm mein tafsir-e-gham
ho chuke the wo bhi majbur-e-fughan kal raat ko
tafarqe be-aitmadi dushmani makr-o-fareb
thi teri ta'bir ai hindostan kal raat ko
so chuke the chand hi ghanTon mein arbab-e-nashat
subh tak tha sath wo aaram-e-jaan kal raat ko
rang-e-sahba chashm-e-nargis mein tha 'asi' waqt-e-subh
jagne se ho rahi thin KHun-fishan kal raat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.