Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni hi lash pe hain ashk bahae hue log

Mohammad Sadiq Jameel

apni hi lash pe hain ashk bahae hue log

Mohammad Sadiq Jameel

apnī laash pe haiñ ashk bahā.e hue log

ham haiñ yak-tarfa mohabbat ke satā.e hue log

maiñ thā nādān na bas paayā jahāñ meñ lekin

kyoñ pareshān haiñ ye tere basā.e hue log

toḌ detī hai hameñ saañs be-tartībī

ḳhvāh-maḳhvāh hāthoñ meñ patthar haiñ uThā.e hue log

ḳhud pe hañstā huuñ bahut jab maiñ unheñ dekhtā huuñ

ban ke baiThe haiñ ḳhudā mere banā.e hue log

gir bhī jaa.e jo ye dīvār to saaya degī

is yaqīñ par haiñ yahāñ Derā lagā.e hue log

husn had se kahīñ aage hai terā jalva

terī dahlīz pe yūñhī nahīñ aa.e hue log

aise shāgird ki ustād nazar aate haiñ

ai zamāne tire hāthoñ ke paḌhāye hue log

nashsha-e-tāj-varī meñ haiñ jo mad.hosh 'jamīl'

un se behtar haiñ tirī bazm meñ aa.e hue log

apni hi lash pe hain ashk bahae hue log

hum hain yak-tarfa mohabbat ke satae hue log

main tha nadan na bas paya jahan mein lekin

kyon pareshan hain ye tere basae hue log

toD deti hai hamein sans ki be-tartibi

KHwah-maKHwah hathon mein patthar hain uThae hue log

KHud pe hansta hun bahut jab main unhen dekhta hun

ban ke baiThe hain KHuda mere banae hue log

gir bhi jae jo ye diwar to saya degi

is yaqin par hain yahan Dera lagae hue log

husn ki had se kahin aage hai tera jalwa

teri dahliz pe yunhi nahin aae hue log

aise shagird ki ustad nazar aate hain

ai zamane tere hathon ke paDhaye hue log

nashsha-e-taj-wari mein hain jo madhosh 'jamil'

un se behtar hain teri bazm mein aae hue log

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now