apni hi rahon ka patthar ho gae
apnī hī rāhoñ kā patthar ho ga.e
ham bhī kyā ahl-e-muqaddar ho ga.e
ham nahīñ ban paa.e hargiz āftāb
Dūbte tāroñ kā manzar ho ga.e
lauT pā.eñge kisī sūrat na vo
apne ghar se hī jo be-ghar ho ga.e
bik rahe the misr ke bāzār meñ
ham magar saste mayassar ho ga.e
zindagī le aa.ī ye kis moḌ par
ham sarāsar ġham kā paikar ho ga.e
apni hi rahon ka patthar ho gae
hum bhi kya ahl-e-muqaddar ho gae
hum nahin ban pae hargiz aaftab
Dubte taron ka manzar ho gae
lauT paenge kisi surat na wo
apne ghar se hi jo be-ghar ho gae
bik rahe the misr ke bazar mein
hum magar saste mayassar ho gae
zindagi le aai ye kis moD par
hum sarasar gham ka paikar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.