apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya
apnī hī teġh-e-adā se aap ghāyal ho gayā
chāñd ne paanī meñ dekhā aur pāgal ho gayā
vo havā thī shaam hī se raste ḳhālī ho ga.e
vo ghaTā barsī ki saarā shahr jal-thal ho gayā
maiñ akelā aur safar kī shaam rañgoñ meñ Dhalī
phir ye manzar merī nazroñ se bhī ojhal ho gayā
ab kahāñ hogā vo aur hogā bhī to vaisā kahāñ
soch kar ye baat jī kuchh aur bojhal ho gayā
husn kī dahshat ajab thī vasl kī shab meñ 'munīr'
haath jaise intihā-e-shauq se shal ho gayā
apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya
chand ne pani mein dekha aur pagal ho gaya
wo hawa thi sham hi se raste KHali ho gae
wo ghaTa barsi ki sara shahr jal-thal ho gaya
main akela aur safar ki sham rangon mein Dhali
phir ye manzar meri nazron se bhi ojhal ho gaya
ab kahan hoga wo aur hoga bhi to waisa kahan
soch kar ye baat ji kuchh aur bojhal ho gaya
husn ki dahshat ajab thi wasl ki shab mein 'munir'
hath jaise intiha-e-shauq se shal ho gaya
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 241)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.