apni hurmat ka wahin aks-e-asar rakhte hain
apnī hurmat kā vahīñ aks-e-asar rakhte haiñ
hai.at-e-sajda meñ jis daar pe sar rakhte haiñ
garche dahlīz pe chhā.ī hai siyāhī shab kī
bām-e-ummīd pe ik shauq-e-sahar rakhte haiñ
zauq-e-āshufta-navā.ī ke havāle kar deñ
ham hayātī ke jo do-chār pahar rakhte haiñ
zer-e-aflāk sahī bām-e-jabīñ se pahle
kitne gardūñ se varā saarī ḳhabar rakhte haiñ
ye hai tamsīl kā pairāya vagarna aaqā
qāb-e-qausain se aage kā safar rakhte haiñ
un ke saa.e kī kasāfat meñ kamī kyūñkar ho
mere aiboñ pe jo har gaam nazar rakhte haiñ
kuchh qalam-zād havāloñ kā tasalsul bāñdhe
vahm-e-nā-puḳhta ko meyār-e-hunar rakhte haiñ
kāḳh-e-sad-rang ke imkāñ meñ baserā na sahī
ham bhī ik aas kā TuuTā huā ghar rakhte haiñ
bām-e-tazvīr se laTkī huī dastāroñ meñ
log dikhlāne ko kyā la.al-o-gohar rakhte haiñ
ḳhud-farārī kī suhūlat to rahegī 'dā.em'
apnī zambīl meñ do-chār safar rakhte haiñ
apni hurmat ka wahin aks-e-asar rakhte hain
haiat-e-sajda mein jis dar pe sar rakhte hain
garche dahliz pe chhai hai siyahi shab ki
baam-e-ummid pe ek shauq-e-sahar rakhte hain
zauq-e-ashufta-nawai ke hawale kar den
hum hayati ke jo do-chaar pahar rakhte hain
zer-e-aflak sahi baam-e-jabin se pahle
kitne gardun se wara sari KHabar rakhte hain
ye hai tamsil ka pairaya wagarna aaqa
qab-e-qausain se aage ka safar rakhte hain
un ke sae ki kasafat mein kami kyunkar ho
mere aibon pe jo har gam nazar rakhte hain
kuchh qalam-zad hawalon ka tasalsul bandhe
wahm-e-na-puKHta ko meyar-e-hunar rakhte hain
kaKH-e-sad-rang ke imkan mein basera na sahi
hum bhi ek aas ka TuTa hua ghar rakhte hain
baam-e-tazwir se laTki hui dastaron mein
log dikhlane ko kya lal-o-gohar rakhte hain
KHud-farari ki suhulat to rahegi 'daem'
apni zambil mein do-chaar safar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.