apni jaanib tere dil ke sabhi gham khinchte hain
apnī jānib tire dil ke sabhī ġham khīñchte haiñ
tere apne to baḌhā dete haiñ ham khīñchte haiñ
haa.e ai zindagī ab terī masāfat ke azaab
baiTh jaate haiñ kisī saa.e meñ dam khīñchte haiñ
vahshat-e-zulmat-o-tanhā.ī ke lashkar haiñ udhar
jis taraf mujh ko tire rahm-o-karam khīñchte haiñ
safha-e-hastī-e-fānī pe ba-har-sūrat-e-shauq
jo lakīreñ nazar aatī haiñ vo ham khīñchte haiñ
mai se tauba bhī hai lāzim tirī taqlīd bhī farz
kyā karūñ ab jo tire naqsh-e-qadam khīñchte haiñ
ham junūñ-zād haiñ jazbāt ke qaa.il 'āfāq'
kab tire hijr meñ zanjīr-e-alam khīñchte haiñ
apni jaanib tere dil ke sabhi gham khinchte hain
tere apne to baDha dete hain hum khinchte hain
hae ai zindagi ab teri masafat ke azab
baiTh jate hain kisi sae mein dam khinchte hain
wahshat-e-zulmat-o-tanhai ke lashkar hain udhar
jis taraf mujh ko tere rahm-o-karam khinchte hain
safha-e-hasti-e-fani pe ba-har-surat-e-shauq
jo lakiren nazar aati hain wo hum khinchte hain
mai se tauba bhi hai lazim teri taqlid bhi farz
kya karun ab jo tere naqsh-e-qadam khinchte hain
hum junun-zad hain jazbaat ke qail 'afaq'
kab tere hijr mein zanjir-e-alam khinchte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.