apni jang hi laDti hai
apnī jañg hī laḌtī hai
laakh kaho vo bāġhī hai
baap ke zinda rahne tak
har beTī shahzādī hai
rāhat jis ko kahte haiñ
maañ kī god meñ hotī hai
ab samjheñge dukh merā
ab un kī bhī beTī hai
tez havā kī jaane balā
peḌ pe jo bhī guzartī hai
tum ho falak kab samjhoge
dhartī kyā kuchh sahtī hai
ġham kī maujoñ meñ dil kī
naav bahtī jaatī hai
ek hī shaḳhs ko chāho sadā
ye kaisī majbūrī hai
apni jang hi laDti hai
lakh kaho wo baghi hai
bap ke zinda rahne tak
har beTi shahzadi hai
rahat jis ko kahte hain
man ki god mein hoti hai
ab samjhenge dukh mera
ab un ki bhi beTi hai
tez hawa ki jaane bala
peD pe jo bhi guzarti hai
tum ho falak kab samjhoge
dharti kya kuchh sahti hai
gham ki maujon mein dil ki
naw bahti jati hai
ek hi shaKHs ko chaho sada
ye kaisi majburi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.