apni jeb thi Khaali Khaali karte kya
apnī jeb thī ḳhālī ḳhālī karte kyā
ḳhush-poshī kī laaj nibhā lī karte kyā
karnā thā kuchh kaam janāb-e-ālī ko
ham Thahre rutboñ se ḳhālī karte kyā
ḳhud ko samjhā sab se baḌh kar kār-guzār
thī ye apnī ḳhām-ḳhayālī karte kyā
tum to sāya-dār shajar the bāñTte chhāñv
ham Thahre ik sūkhī Daalī karte kyā
zarra ho kar jaan liyā ḳhud ko ḳhurshīd
kirnoñ se thā dāman ḳhālī karte kyā
bāhar jhuum rahā thā mausam phūloñ kā
andar rūThī thī hariyālī karte kyā
ghar ke asāsoñ kā mālik thā sāhūkār
apne ghar kī ham rakhvālī karte kyā
apni jeb thi KHali KHali karte kya
KHush-poshi ki laj nibha li karte kya
karna tha kuchh kaam janab-e-ali ko
hum Thahre rutbon se KHali karte kya
KHud ko samjha sab se baDh kar kar-guzar
thi ye apni KHam-KHayali karte kya
tum to saya-dar shajar the banTte chhanw
hum Thahre ek sukhi Dali karte kya
zarra ho kar jaan liya KHud ko KHurshid
kirnon se tha daman KHali karte kya
bahar jhum raha tha mausam phulon ka
andar ruThi thi hariyali karte kya
ghar ke asason ka malik tha sahukar
apne ghar ki hum rakhwali karte kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.