apni kah li hai to ab meri kahani bhi to sun
apnī kah lī hai to ab merī kahānī bhī to sun
tū ne auroñ se sunī merī zabānī bhī to sun
nit-na.e rañg badalte hue lamhoñ se nikal
zindagī kyā hai ye mausam kī zabānī bhī to sun
lafz to jaan liye un ke ma.ānī bhī samajh
vo jo kahte the baḌe baat purānī bhī to sun
shab-e-tārīk meñ tū ghar se nikal kar kabhī dekh
tujh se kyā kahtī hai dariyā kī ravānī bhī to sun
apnī duniyā ke hunar to tujhe sab aate haiñ
Duubī jaatī haiñ jo āvāzeñ purānī bhī to sun
apni kah li hai to ab meri kahani bhi to sun
tu ne auron se suni meri zabani bhi to sun
nit-nae rang badalte hue lamhon se nikal
zindagi kya hai ye mausam ki zabani bhi to sun
lafz to jaan liye un ke maani bhi samajh
wo jo kahte the baDe baat purani bhi to sun
shab-e-tarik mein tu ghar se nikal kar kabhi dekh
tujh se kya kahti hai dariya ki rawani bhi to sun
apni duniya ke hunar to tujhe sab aate hain
Dubi jati hain jo aawazen purani bhi to sun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.