apni kaifiyyaten har aan badalti hui sham
apnī kaifiyyateñ har aan badaltī huī shaam
munjamid hotī huī aur pighaltī huī shaam
Dagmagātī huī har-gām sañbhaltī huī shaam
ḳhvāb-gāhoñ se udhar ḳhvāb meñ chaltī huī shaam
gūñdh kar motiye ke haar ghanī zulfoñ meñ
āriz-o-lab pe shafaq surḳhiyāñ maltī huī shaam
ik jhalak poshish-e-be-zabt se 'uryānī kī
de ga.ī din ke nasheboñ se phisaltī huī shaam
ek sannāTā rag-o-pai meñ sadā gūñjtā hai
bujh ga.ī jaise lahū meñ koī jaltī huī shaam
vaqt baptisma kare āb-e-sitāra se use
dast-e-duniyā kī darāzī se nikaltī huī shaam
apni kaifiyyaten har aan badalti hui sham
munjamid hoti hui aur pighalti hui sham
Dagmagati hui har-gam sanbhalti hui sham
KHwab-gahon se udhar KHwab mein chalti hui sham
gundh kar motiye ke haar ghani zulfon mein
aariz-o-lab pe shafaq surKHiyan malti hui sham
ek jhalak poshish-e-be-zabt se 'uryani ki
de gai din ke nashebon se phisalti hui sham
ek sannaTa rag-o-pai mein sada gunjta hai
bujh gai jaise lahu mein koi jalti hui sham
waqt baptisma kare aab-e-sitara se use
dast-e-duniya ki daraazi se nikalti hui sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.