apni KHamosh zabanon pe sitam karte hain
apnī ḳhāmosh zabānoñ pe sitam karte haiñ
itne gūñge bhī nahīñ jitnā ki ġham karte haiñ
be-sabab bolte rahne meñ pareshānī hai
ham so chup rah ke pareshānī ko kam karte haiñ
ham ne sīkhā hī nahīñ koī qasīda likhnā
ham to kāġhaz pe bas ehsās raqam karte haiñ
kisī maslak se nahīñ koī bhī rishta un kā
rāt-din phir bhī magar dair-o-haram karte haiñ
zindagī terī himāyat meñ khaḌe haiñ sab log
hai mazammat kī agar baat to ham karte haiñ
apni KHamosh zabanon pe sitam karte hain
itne gunge bhi nahin jitna ki gham karte hain
be-sabab bolte rahne mein pareshani hai
hum so chup rah ke pareshani ko kam karte hain
hum ne sikha hi nahin koi qasida likhna
hum to kaghaz pe bas ehsas raqam karte hain
kisi maslak se nahin koi bhi rishta un ka
raat-din phir bhi magar dair-o-haram karte hain
zindagi teri himayat mein khaDe hain sab log
hai mazammat ki agar baat to hum karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.