apni KHatir ai KHuda ye kaam kar
apnī ḳhātir ai ḳhudā ye kaam kar
ek din duniyā ko bhuul ārām kar
yaad hai majnūñ miyāñ merā kahā
'ishq farmā dasht meñ jā naam kar
ḳhush raho kahte haiñ jo pahchān unheñ
dushmanoñ kī sāzisheñ nākām kar
ek roz us ne qarīb aa kar kahā
raushnī de lams kī gulfām kar
kyā likhā hai in kitāboñ meñ na dekh
'ishq sachchā hai to apnā kaam kar
sau jatan kar ke use raazī kiyā
jis tarah bhī ho mujhe badnām kar
ḳhat meñ ḳhushbū-e-havas thī kyā kahā
aisā hai to ḳhat kā mazmūñ 'aam kar
apni KHatir ai KHuda ye kaam kar
ek din duniya ko bhul aaram kar
yaad hai majnun miyan mera kaha
'ishq farma dasht mein ja nam kar
KHush raho kahte hain jo pahchan unhen
dushmanon ki sazishen nakaam kar
ek roz us ne qarib aa kar kaha
raushni de lams ki gulfam kar
kya likha hai in kitabon mein na dekh
'ishq sachcha hai to apna kaam kar
sau jatan kar ke use raazi kiya
jis tarah bhi ho mujhe badnam kar
KHat mein KHushbu-e-hawas thi kya kaha
aisa hai to KHat ka mazmun 'am kar
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 23)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.