apni KHatir sitam ijad bhi hum karte hain
apnī ḳhātir sitam ījād bhī ham karte haiñ
aur phir nāla-o-fariyād bhī ham karte haiñ
ek duniyā mirī ābād hai jin se vahī ḳhvāb
kabhī paspā kabhī barbād bhī ham karte haiñ
ḳhāna-e-jism meñ hañgāma machā rakkhā hai
le mirī jaañ tujhe āzād bhī ham karte haiñ
apne ahbāb pe karte haiñ dil o jaan nisār
aur aksar unheñ nā-shād bhī ham karte haiñ
ranj-e-ulfat ke sivā ai dil-e-nādān batā
thā koī ranj jise yaad bhī ham karte haiñ
aur bhī log haiñ is kār-e-ziyāñ meñ ham-rāh
so in ash.ār ko irshād bhī ham karte haiñ
apni KHatir sitam ijad bhi hum karte hain
aur phir nala-o-fariyaad bhi hum karte hain
ek duniya meri aabaad hai jin se wahi KHwab
kabhi paspa kabhi barbaad bhi hum karte hain
KHana-e-jism mein hangama macha rakkha hai
le meri jaan tujhe aazad bhi hum karte hain
apne ahbab pe karte hain dil o jaan nisar
aur aksar unhen na-shad bhi hum karte hain
ranj-e-ulfat ke siwa ai dil-e-nadan bata
tha koi ranj jise yaad bhi hum karte hain
aur bhi log hain is kar-e-ziyan mein ham-rah
so in ashaar ko irshad bhi hum karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.