apni KHabar nahin hai ba-juz is qadar mujhe
apnī ḳhabar nahīñ hai ba-juz is qadar mujhe
ik shaḳhs thā ki mil na sakā umr-bhar mujhe
sho.aloñ kī guftugū meñ sabā ke ḳhirām meñ
āvāz de rahā hai koī ham-safar mujhe
shāyad unhīñ kā ijz mire kaam aa gayā
jin dostoñ ne chhoḌ diyā vaqt par mujhe
shab ko to ek qāfila-e-gul thā saath saath
yārab ye kis maqām pe aa.ī sahar mujhe
hañste rahe falak pe sitāre zamīñ pe phuul
achchhā huā ki umr milī muḳhtasar mujhe
muddat ke ba.ad us ne sar-e-anjuman 'zamīr'
dekhā nigāh-e-ām se aur ḳhaas kar mujhe
apni KHabar nahin hai ba-juz is qadar mujhe
ek shaKHs tha ki mil na saka umr-bhar mujhe
shoalon ki guftugu mein saba ke KHiram mein
aawaz de raha hai koi ham-safar mujhe
shayad unhin ka ijz mere kaam aa gaya
jin doston ne chhoD diya waqt par mujhe
shab ko to ek qafila-e-gul tha sath sath
yarab ye kis maqam pe aai sahar mujhe
hanste rahe falak pe sitare zamin pe phul
achchha hua ki umr mili muKHtasar mujhe
muddat ke baad us ne sar-e-anjuman 'zamir'
dekha nigah-e-am se aur KHas kar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.