apni KHata ki rakh ke dil zauq-e-KHalish na pa sake
apni KHata ki rakh ke dil zauq-e-KHalish na pa sake
Ameer Raza Mazhari
MORE BYAmeer Raza Mazhari
apnī ḳhatā ki rakh ke dil zauq-e-ḳhalish na pā sake
aql kī jhiḌkiyāñ sahīñ par na fareb khā sake
hijr bhī ek vahm hai vasl bhī ik fareb thā
kho ke na tum ko kho sake pā ke na tum ko pā sake
terī nazar ne bazm meñ uTh ke hameñ biThā diyā
uTThe to baar baar ham uTh ke magar na jā sake
jur.at-e-tark-e-āshiqī mujh se na ho sakī kabhī
apne ko aazmā liyā tum ko na aazmā sake
kahte haiñ ma.arifat jise vo bhī hai e'tirāf-e-ijz
us ko ḳhudā samajh liyā jo na samajh meñ aa sake
ishq usī kā mustanad shauq usī kā mo'atabar
terī nigāh se bhī jo rāz-e-nazar chhupā sake
bas isī talḳh yaad par ḳhatm hai dāstān-e-dil
tum ne hameñ bhulā diyā ham na tumheñ bhulā sake
aa.e vo mai-kade meñ kyoñ us kī jagah haram meñ hai
aañkh bachā ke jo piye pī ke na laḌkhaḌā sake
vo jo hai banda-e-vafā kahte haiñ sab jise 'razā'
us kī bhalā majāl kyā tum se nazar milā sake
apni KHata ki rakh ke dil zauq-e-KHalish na pa sake
aql ki jhiDkiyan sahin par na fareb kha sake
hijr bhi ek wahm hai wasl bhi ek fareb tha
kho ke na tum ko kho sake pa ke na tum ko pa sake
teri nazar ne bazm mein uTh ke hamein biTha diya
uTThe to bar bar hum uTh ke magar na ja sake
jurat-e-tark-e-ashiqi mujh se na ho saki kabhi
apne ko aazma liya tum ko na aazma sake
kahte hain marifat jise wo bhi hai e'tiraf-e-ijz
us ko KHuda samajh liya jo na samajh mein aa sake
ishq usi ka mustanad shauq usi ka mo'atabar
teri nigah se bhi jo raaz-e-nazar chhupa sake
bas isi talKH yaad par KHatm hai dastan-e-dil
tum ne hamein bhula diya hum na tumhein bhula sake
aae wo mai-kade mein kyon us ki jagah haram mein hai
aankh bacha ke jo piye pi ke na laDkhaDa sake
wo jo hai banda-e-wafa kahte hain sab jise 'raza'
us ki bhala majal kya tum se nazar mila sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.