apni khoi hui jannaten pa gae zist ke raste bhulte bhulte
apnī khoī huī jannateñ pā ga.e ziist ke rāste bhūlte bhūlte
maut kī vādiyoñ meñ kahīñ kho ga.e terī āvāz ko DhūñDte DhūñDte
mast-o-sarshār the koī Thokar lagī āsmāñ se zamīñ par yuuñ ham aa ga.e
shāḳh se phuul jaise koī gir paḌe raqs-e-āvāz par jhūmte jhūmte
koī patthar nahīñ huuñ ki jis shakl meñ mujh ko chāho banāyā bigāḌā karo
bhuul jaane kī koshish to kī thī magar yaad tum aa ga.e bhūlte bhūlte
āñkheñ āñsū-bharī palkeñ bojhal ghanī jaise jhīleñ bhī hoñ narm saa.e bhī hoñ
vo to kahiye unheñ kuchh hañsī aa ga.ī bach ga.e aaj ham Dūbte Dūbte
ab vo gesū nahīñ haiñ jo saaya kareñ ab vo shāne nahīñ jo sahārā baneñ
maut ke bāzuo tum hī aage baḌho thak ga.e aaj ham ghūmte ghūmte
dil meñ jo tiir haiñ apne hī tiir haiñ apnī zanjīr se pā-ba-zanjīr haiñ
sang-rezo ko ham ne ḳhudā kar diyā āḳhirash raat din pūjte pūjte
apni khoi hui jannaten pa gae zist ke raste bhulte bhulte
maut ki wadiyon mein kahin kho gae teri aawaz ko DhunDte DhunDte
mast-o-sarshaar the koi Thokar lagi aasman se zamin par yun hum aa gae
shaKH se phul jaise koi gir paDe raqs-e-awaz par jhumte jhumte
koi patthar nahin hun ki jis shakl mein mujh ko chaho banaya bigaDa karo
bhul jaane ki koshish to ki thi magar yaad tum aa gae bhulte bhulte
aankhen aansu-bhari palken bojhal ghani jaise jhilen bhi hon narm sae bhi hon
wo to kahiye unhen kuchh hansi aa gai bach gae aaj hum Dubte Dubte
ab wo gesu nahin hain jo saya karen ab wo shane nahin jo sahaara banen
maut ke bazuo tum hi aage baDho thak gae aaj hum ghumte ghumte
dil mein jo tir hain apne hi tir hain apni zanjir se pa-ba-zanjir hain
sang-rezo ko hum ne KHuda kar diya aaKHirash raat din pujte pujte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.